Suna hai

***Suna hy aaj kal woo preshan rehti hai
Usse kehna be-fikar main b nahi hoon

Suna hay wo gumsum rehti hai
Usse kehna hazir zehan main b nahi hoon

Suna hay wo raaton ko jaga karti hai
Usse kehna sota main b nahi hoon

Suna hay wo chup chup k roti hai
Usse kehna hansta main b nahi hoon

Suna hai wo mujhe yaad buhat karti hai
Usse kehna bhoola main b nahi hoon

Suna hy usne wafa ka daawa kia hai
Usse kehna bewafa main b nahi hoon***

Re: Suna hai

**Suna hy usne wafa ka daawa kia hai
Usse kehna bewafa main b nahi hoon
**
Buhat he khoubsurat kalam share kia aap nay lutaf aa gia parch kar :k:

Re: Suna hai

Suna hai wo ratoon ko jaga karti hai
Suna hai uski KESC walon se nahin bunti :aj:

Re: Suna hai

Lutf wo ishq main pae hain ke ji janta hai
Runj bhi aise uthae hain ke ji janta hai