Suna hai yaad karte ho
Ke jab bhi sham dhalti hai hijar mai jaan jalti hai
Tum raat ka aksar sukoon barbaad karte ho
Ke jab panchi laut aate hain ghamo k gheet gaate hain
Suno tum laut aao na! yehi faryaad karte ho
Suna hai yaad karte ho
Ke jab sitaare falak par jaggmagate hain
Woh beete hoe pal khoob rulate hain
Tum us waqt apni ankho mai muje aabad karte ho
Suna hai yaad karte ho, mujhe tum yaad karte ho
Re: Suna hai yaad karte ho ?
wo beshak ALLAH ko yaad ker raha hoon ke Aye ALLAH mujhe paas ker dena aur ye kya samajh rahi hein ![]()
![]()