**Suna hai woh shehar me aaya hai
Suna hai woh sath wafa laaya hai
Suna hai woh phool sung apnay chund murjhaaye laaya hai
Suna hai woh askh bhari muskrahtain bhi laaya hai
Uss say kaho
Yahan koi kharidar nahi
Yahan koi beqarar nahi
Yahan koi sogwar nahi
Uss say kaho
Loat jaaye
Ke
Yeh shehar-e-khamosh hai
Yahan sub baasi khamosh hain
Yahan koi dard nahi koi chubhan nahi
Yahan bus meethi neend sotay hain
Teray chahnay waley
Ab nahi rotey hain…!**