**suna hai teray shaher may nazool-e-wafa ka mousam hota hay
muhabat ka sawan aur rang-o-noor ka aalam hota hai
suna hai wahan diloon ka milan hota hai
rohoon ka visal aur hijar ka inkar hota hai
wahan zulf bikhray tu raat ka aalam
jo simtay tu savera hota hai
suna hai ashk jab koi bahaye tu
wahan sawan ka mousam hota hai
taara jab bhi tootay kaheen asmaan may
nazuk hatoon may kashkool-e-dua hota hai
suna hai wahan kalaam karti hain Mohabbatein
nafratoon ka qatal-e-aam hota hai
suna hai wo bhi makeen hai teri basti ka
jo sadiyun se rooh-e-jaan hamari hota hai
usko salam-e-muhabat kehna
jiski ankh may ashk meray naam ka hota hai
wo bhi shayed mehsoos karta ho
dard jo firaaq may yahan hota hai
uski muskaan ka bhi aalm kuch biyaan ho
kia ab bhi usay dekh kar chandni ka guman hota hai
suna hai ab bhi wo nazar jhuka kar milta hai
kaheen ankh may uski piyar ka rang hota hai
chalo us basti ki janib chaltey hain Qais
jahan rang-e-qos qazah, aur raqs ishq may hota hai**
Re: suna hai teray shaher may nazool-e-wafa ka mousam hota hay
Welcome to khyali pulao pakane wala kitchen
Kinzz
3

Apka pulao ban Gaya?

nahi.. abhi namak daalne wali nahin aai
Kinzz
5
[quote="Kinzz, post:27, topic:275441"]
Apka pulao ban Gaya?
nahi.. abhi namak daalne wali nahin aai
[/QUOTE]
Nazar rakhiye ga namak Ki Jaga mirchen na dalay.
Re: suna hai teray shaher may nazool-e-wafa ka mousam hota hay
Welcome to khyali pulao pakane wala kitchen
Ufff Wo Pur Asra`ar Khayalon k Mahal...........
Aisy 2/4 Mahal bana lon to Chalon........
Re: suna hai teray shaher may nazool-e-wafa ka mousam hota hay
Nazar rakhiye ga namak Ki Jaga mirchen na dalay.
pehla niwala apne hathon se ussi ko khilaonga :p
Kinzz
8

Usko spicy khana pasand howa to wo to kha legi app apna sochen :p
Re: suna hai teray shaher may nazool-e-wafa ka mousam hota hay
Usko spicy khana pasand howa to wo to kha legi app apna sochen :p
wo kha legi to hum bhi kha lenge.. ab khana hi paRe ga :@:
Re: suna hai teray shaher may nazool-e-wafa ka mousam hota hay
pehla niwala apne hathon se ussi ko khilaonga :p
Wowwwwww..........
Kinzz
11
wo kha legi to hum bhi kha lenge.. ab khana hi paRe ga :@:
Awww how sweet :@:
Diva
12
Re: suna hai teray shaher may nazool-e-wafa ka mousam hota hay
Khayali biryani kyun nahin 
Re: suna hai teray shaher may nazool-e-wafa ka mousam hota hay
Biryani main salan bhi banana paRta hai.. itni mehnat kon kare