**Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke shaher main kuchh din thahr ke dekhtay hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apnay aap ko barbad karkay dekhtay hain
…
Suna hai bole to baton se phool jharatay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhtay hain
Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhtay hain**