Hazrat Abdullah bin Masoood Razi Allah Tallan unho say Rawaiyet hay kay Rasool Allah (Saw) nay Irshad fermaya " kiya mai tumhe Na betaoun wo shakhus jis per Aag haram ho ge ( suno mai betata houn)Dozukh ke aaag her aisay shakhus per Jo logoun say qareeb honay wala , nerm mazah, aur nerm tabiat ho." (termezi)
Ishfaq ahmad kehtay hai aik defaah aik sawal ne mujhe boht disturb kiya mai apnay milnay waloun say akser yeh sawal pooocha lakin jawabat say mera dil mutmain na hov aur wo sawal yeh tha " muslman aur mo’min mai kia fereq hay?" aik din mai aik village say gizra to mai ne aik aisay buzerg ko daikha jo gunnay ka rus nikal rehy thy meray dil mai janay kehan say yeh khayal aya aur mai ne BaBa je say poocha " Baba je kia aap mujhe beta sktay hain kay Muslman aur mo’min mai kia ferq hay" Baba je nay apna sir uthaya aur keha " muslman wo hay jo Khuda ko manta hay aur mo’min wo hay jo khuda ki manta hai"