Yun tu zindagi mein hazaroon loug aatay hain aur chale jaatay hain magar jeewan mein aik baar aisa koi zaroor milta hai jissay be-ikhteyaar apna kehne ko ji chaahata hai.. Dil us ki raah mein khushiyaan bikherne ko machal uth’ta hai aur us ke har gham ko apne ander samoo lene ko ji chaahata hai…
Rab’ul’Izzat us ke chehre ko itni khoobsurati se taraashta hai ke woh chehra hamare dil ki ghehraeyoo mein apni yaadain pewast kar ke phir aik dam hum se zindagi ke anjaane mour per hamesha hamesha ke leye juda hojaataa hai…
Phir na jaane kyon woh haseen chehra bhulaye nahee bhool paata, us ki yaadoon ki kirchiyaan dil mein paiwast hokar reh jaati hain… Agar un ko dil se nikaala jaaye tu takleef hoti hai… Aur agar waise hi rehne diya jaaye tu dukh bardasht se baahar hojaata hai…
Yeh sulaghti yaadain ashkoon ke siwa kuch nahee deti…
Kaun hai jo taqdeer se yeh poochay …
Kyon bicharte hain aise loug jin ki baatain jin ki yaadain ban jaati hain…
Re: Sulaghti yaadain ashkoon ke siwa kuch nahee deti
[QUOTE]
*Originally posted by Amarbail: *
Kyon bicharte hain aise loug jin ki baatain jin ki yaadain ban jaati hain...
[/QUOTE]
**
amarbail what a beautiful words ! thanks 4 sharing
one more thing ...
logh bicharte hain aksar apni hi ki gaye kotahiyoon say phir yaadien hi reh jati hain
phir aksar aisa bhi hota hai woh kehtay hain na.
Haar Dharaktey Pathar ko Logh Dil Samajhtey Hein
Umerien Beet Jatee Hein Dil Ko Dil Bananey Mein..
aur deewana pyar kartay huay jab maloom hota hai woh dhoka tha saraab tha
tu dil tuth jata hai aur judae ajati hai..
aik baat aur Hum Allah ki nafermani mein uss ki naimatoun ka shuker adaa kerna bhool jaatey hein , kabhi yeh nahin sochtey ke joo uss ney diya woo hamaari auqaat sey berh ker thaa, jo kuch hua hamari zindagi main, aisa kyoon hua kaash aisa na hota aur shikayatoon ka pitara khol kar beth jatay hain...apni aadhi zindagi shikwoon mein guzaar daitey hein, apni kotahiyoon ko nahin dekhtay bas , apney Rab kay ehsaanoon koo apnaa huq samjh ker wasool kertay hein, aur akser doosroon ki haq-talfi ker jaatey hein , Allah ham gunaahgaar bandoon ko maaf fermaye, hamaari maghfirat fermaaey , Ameen **