**
Sukhan mein rang tumhare khyaal hi ke to haiN**
** Ye sab karishmay, hawaaye visaal hi ke to haiN**
** Kaha tha tum ne K deta hai kaun ishq mein jaan**
** So hum jawaab, tumhaare sawaal hi ke to haiN**
** Zara si baat hai dil mein agar bayaaN ho jaaye**
** Tamaam mas’alay, izhaar haal hi ke to haiN**
** YahaaN bhi is ke siwa aur kya naseeb hamaiN**
** Khutan me rahke bhi chashm-e-ghazaal hi ke to haiN**
** Jasaarat E sukahan E shairaaN se darna kya**
** Ghreeb, mashghala e qeel o qaal hi ke to haiN**
** Haawaa ki zad pe hamara safar hai kitni der**
** Chiraagh hum kisi shaam E zawaal hi ke to haiN
**
** (Irfan Siddiqui)**