suggestion and info needed, plz help.

Re: suggestion and info needed, plz help.

**ari waah…shukria janaab bahooot bahooot…yeh site to baRii kaar-aamad hai…inshaa Allah, maiN is site kaa bharpoor iste’maal karuuNgaa…aapkaa bahot bahot shukria. maiN ne bachpan se teen chaar Pakistani trains kaa nama sun rakkhaa thaa…jaise…Tezgam, Tez Rau aur Shalimar Express…sunaa hai Jafar Express bhii achchhii hai :slight_smile: i’ll fly in and out of Karachi, inshaa Allah and then will make a side trip by train to Lahore :)'allaamah 'Iqbal ke maqbare par Haazirii dene aur unke liye du’aa-e-maGhfirat karne kaa iraada hai, Allah unheN karvaT karvaT jannat naseeb kare…aameen. mere maHboob tareen shaa’ir haiN :slight_smile:
**

**maiN india meN safar kar kar ke bahooot hoshiyaar ho gayaa huN alHamdolillah :slight_smile: maiN to train ke chor uchakkoN ko aise pahchaan letaa huN jaise maiN uRtii chiRyaa ke par gin letaa huN…alHamdolillah again…yes, inshaa Allah Theek Thaak guzregaa :slight_smile: **