sugges the suitable title

Wo guraiz ka kaisa lamha tha
Jo ik lamhe main nikal gya
Wo dorr jo folad se bhi paki thi
Ik dhaga bani jo toot gayalace>
Wo lafzon ko tarteeb deta raha
Phir anjaney main kuch bol gaya
In lafzon say mot risti thi
Per zindagi say in ko toll gaya
Kitna asan tha uska lab hilana
Ik janbish say sab hol gaya
Main tanha kali raton main,
Jab soch kay deep jalata hun
To lab pay sawal yay ata hai,
Kia jazbon ka beopari tha wo,
Chand sikon kay awiz inhain tol gaya
Zindagi yahin to tamam nahi ZIA
Wo ik kora kaghaz tha,
Per zindagi ki kitaab khol gya…

aj phir has kay taal do hamain
ik gehray bhanwar main daal do hamain
aj yaom-e-hisab he to hai
her sawal ka azbar jawab do hamain
ham bhi to teray chahnay walay thehray
kuch to bolo, koi ilzam he be mantak do hamain
ham huma-tan-gosh hain har lehza
mahi be-aab ki tarha to na tarpao hamain
dil pay dastak day kay koi bin milay he chla gya
wo dastak to na-paid hai,koi aahat he sunao hamain
hastay hastay kiun nami dar ai ankhon main
ab hasi kay aadi rahay nhi
koi ghao phir waisa lagao hamain
bin mangay he kuch log mil jatay hain ZIA
phir kashkol ka aadi to na bnao hamain…

Re: sugges the suitable title

Pehli baat copy paste karnay se pehle wordpad pe copy karlia karein takay ajeeb se codes show na hon apki post mein shukriya !

Re: sugges the suitable title

title = Shaitaan Ki Aant :@:

Re: sugges the suitable title

HTML na samajhne ka mushkil tareeqa

Re: sugges the suitable title

aap ki 1st post thi...welcome shazia and nice sharing....title aap khud socho na ta ke damagh ki warzish ho ... :-)

Re: sugges the suitable title

Buhat KhooB :~)

Re: sugges the suitable title

''jazboon ka bayopari''
sahi rahay ga ye title;