Sudhar gaya hoon main

Ek hunar hai jo kar gaya hoon main,
Sab ke dil se utar gayaa hoon main,

Kaise apni hansi ko zabt karun,
Sun raha hoon ke ghar gaya hoon main,

Kya bataun ke mar nahi paata,
Jeete jee sab se mar gaya hoon main,

Ab hai bas apna saamna darpesh,
Har kisise guzar gaya hoon main,

Wo hi naaz-o-ada, wo hi gamze,
Sar-ba-sar aap par gaya hoon main,

Ajab Ilzaam hoon zamaane ka,
Ke yahan sab ke sar gaya hoon main,

Kabhi khud tak pahuch nahi paaya,
Jab ke vaan umr bhar gaya hoon main,

Tumse janaan mila hoon jis din se,
Be-tarah,khud se dar gaya hoon main,

Koo-e-jaanaan mein sog barpaa hai,
Ke achanak, sudhar gaya hoon main

Re: Sudhar gaya hoon main

Nice Sharing.....

Re: Sudhar gaya hoon main

Achanak sudhar gaye :hehe: kisi hadse ka side effect hoga :hehe:

Re: Sudhar gaya hoon main

chalo achi baat hai.

Re: Sudhar gaya hoon main

shayiry main ‘achanak’ bhi kai salon pe muheet hota hai

Re: Sudhar gaya hoon main

Word ka ghalat isstemal :emmy:

Re: Sudhar gaya hoon main

:smack:shayiry main words ista’aray k taur pe bhi use keay jatay hain

Re: Sudhar gaya hoon main

Isti'ary ka mutlub ?

Re: Sudhar gaya hoon main

kisi lafz ka majazi meaning:(

Re: Sudhar gaya hoon main

Metaphor?

Re: Sudhar gaya hoon main

sudherne ka to sawal hi peda nahi hota
misal ghalat hi de nahi sakti:barbie:

Re: Sudhar gaya hoon main

Kya bataun ke mar nahi paata,
Jeete jee sab se mar gaya hoon main,

Ana ke mare log :emmy:

Re: Sudhar gaya hoon main

Yes.

Gulaab hath main aankh main sitara ho
Koi wajood to muhabbat ka ista'aara ho

Re: Sudhar gaya hoon main

sur ke uper se gaya :bummer:

Re: Sudhar gaya hoon main

Parveen Shakir ke liye muhabbat ka wajood aisa tha jaise gulab hath main rakh kar aankh main sitaron ko qid kar lia jae.. wohi aap wala metaphor

Re: Sudhar gaya hoon main

oh i get it now..shayad jahan word isti’ara aa jaaye wahan se meri samajh khatam ho jati hai :bummer: