Sudaii janay kiyon aap ka lekha kaii bar paRha or aankhon ko num hi paya .. bawajood is kay keh hum nay soocha tha … hum or poetry nahi lekhain gay .. phir bhi lekha … woh aadhoori jee wali baat Allah janay un ko kabhi maloom bhi hoga ya nahi keh woh jo humari jagti raaton main num aankhon say ho kar tehreer ki shaqal akhtiyar karti hay to iss say un ko kia hassil hota hay?
** Un ke naam jisay daikha nahi socha bohut hay
or aap ki nazar sudaii jee jis ka gehri shaam hona humain bha gia **
Uss ki yaad nay khud say juda honay na dia
Khayal e yaar nay zindagi say harnay na dia
Yeh aagahi e zeesst hay yaa khush gomanii
Un ki aankhon nay sanss ki dor ko ToTnay na dia
Uss shaam bhi roshan raha ussi ki aakss ka tara
Dard tha bay-lagaam or zabt nay sisaknay na dia
Shaam say raat howi or phir raat ka pichla piher
Uss bad gumaan lehjay nay ToR kar JoRnay na dia
DhaRkanain thum gain howay waqt ki qayd say ** Azad~ **
Shidat e Hasrat e deed nay Reha honay na dia
**
Nae rutton mein dukhon ke silsilay hain naye
Woh zakhm tazah huwe jo bharnay walay thay
Yeh kis muqaam pe soujhi tujhe bicharne ki
Ke ab tu ja ke kaheen din sanwarnay walay thay**
Hey kanwal thanks
Dilsay … ab dil ki halat kaisi hay sunna hay aaj kal churailain basira karti hain
Arifnawaz jee mosum to aatay jatay rehtay hain dil mushkil say ata hay
Sunni jee :k:
[QUOTE]
*Originally posted by aadhoorighazal: *
Azad sb Today I am speechless, itna khoobsurat lekha hai aapnae.
I am searching for words to appreciate it. thanks.
[/QUOTE]
aadhoori kai kahain ... aap ke lehje ki taseer or baton ki khushbu paraii nahi lagti ... hummm aisa hay keh
Pyar sachai hay
Mohabat haqeeqat hay
Jo waqe'a hay woh tanhaii hay
Jo baqi bacha
Woh khwab hain saray
Kuch lamhay hain
Yadon kay
Kuch ansu hain
Palkon pe sajanay kay
........... humm sorry bhai humain yaad hi nahi raha ke hum nay to lekha choRa dia hay
eik nuQtay vich gal mukh'dee ay
phaR nuQta, ChoR hissaban noo