subh ta shaam sochta huun main

**subh ta shaam sochta huun main
sau tere naam sochta huun main

ye jo ek taza aag bharkii hai
is kaa anjaam sochta huun main

saamne hai qalam bhi kaghaz bhi
aur paigham sochta huun main

tujh se is dil kaa jo taalluq hai
us kaa kuch naam sochta huun main

aik shaam-e-firaaq Dhal bhii gayii
phir bhii har shaam sochta huun main

kyaa sabab hai Gham-e-zamaana kaa!
laa zara jaam sochta huun main

ab koi fikr hi nahi Baqi
bas tera naam sochta huun main**

Re: subh ta shaam sochta huun main

zabardst vese kisko itna sochte hein :5:

Re: subh ta shaam sochta huun main

Main nhi Sha`ir sahab sochty hyn…

Re: subh ta shaam sochta huun main

bhuka b zarur merta hoga

es se to koe sabzi ka thela lagat 4 pese to aaty

Re: subh ta shaam sochta huun main

Durust Farmaya Aap ny…:k: