**Subb mosam hain dil khilnay aur dil murjhaanay say
kiyaa hotaa hay Khizaan bahaar kay aanay jaanay say?
subb mosam hain dil khilnay aur dil murjhaanay say
aik diyaa kabb rok sakaa hay raat ko aanay say?
lekin dil kuch sanbhlaa tau ik diyaa jalaanay say
Jo phooloun aur kaantoun kee pehchaan nahin rakhtaa
phool nahin ruktay ghar uss kaa bhee mehkaanay say
jaltay nazar nahin aaey aur jall kar khaak huvay
duur kaa rishtaa apna bhee niklaa parwaanay say
kacchi umer aur saawan main kaisay baaz aaien?
aankhain jag-mag karnay say, aanchal lehraanay say
kitna accha lagta hay aik aam sa cheraa bhee
sirf mohabbat bharaa tabassuum lab par laanay say
gaye dinoun main rona bhee bhee tau kitnaa sacchaa thaa
dil halkaa ho jataa thaa jabb ashk bahanay say
bheegi raat kaa sannaatta kartaa hay wohi baatain
zakhm haray hotay hain jo baatain yaad aanay say
**... Hasan Akbar Kamal**