kiya waqat tha ke main jagha
suhana lamha tha keh main jaaga
teri uss waqat ki yaadoun ne mujhe
bena uljhayee mujh ko keh dala
yara yeh waqat hai sehar ka dekh
loot lay khushyain tu zara tu dekh
yaad teri mujhe usss waqat jo aaaiieeee
dil main ik jazba ubher ker aya
soocha tujh ko bhi samail-e- baharan karoun
subah hotay hi mujh se phooloun ne kaha
kahkaee marti thayee woh urti chiryain
jab bhi apne hum zulf se jo milti thi
lamhe betay jo abb samajh aayyya
tumhain jaga loun yeh zahan main aayaa
ker diya fone phir na intezar kiya
udher ghanti jo baji idher main bhi alert houa
laga soochne keh kiya kahoun ga abb
bekerar tha hi abb bebas bhi houa
tum ko jaaga ker subah itni kuch sharminda bhi houa
suni jo teri awaz yu kuch madhoos houa
dil main thi ikk khushi ki jhankar
jo baj rahi thi lamhoun ke sath
socha woh tum ko bhi main suna daloun
dil ki yadooun main betha daloun
wah woh thi ziker allah ki awaz
jo ker rahi thi mujhe her taraf se bekarar
wallah khaliq bhi wo hai aur malik bhi asal
tu kiyoun na yadd karain uss ko aur moujain karain
uss ki yadoun main milta hai ikk ajeeb saroor
beqarari hoti hai khatam mil jata hai sakooun
subhanallah subhanallah zikar kare banda jabb
mili hain uss ko kushiyan aur dhulay hain uss ke gham