sub bhool gya

tum se mohabbat kar k mai sub kuch bhool gya hu
subha, din, shaam aur raat sub hi bhool gya hu

qalam uthao tou tera naam hi hai sirf likha jata
tere naam k siwa mai har lafz hi bhool gya hu

kal tak logo ko milta tha mai baray khaloos se
ajj unnhi logo se dua-o-salam hi bhool gya hu

parhta tha khuda k naam ki namaz-o-tasbhi
haal yeh hua hai k wazu-o-namaz hi bhool gya hu

Suhail unn k pyar ne iss qadar kufar kar dala hai
k aab-e-zam zam aur sharab ka farq hi bhool gya hu

Re: sub bhool gya

:k: nice one sohail

Re: sub bhool gya

thanx

Re: sub bhool gya

Very Nice… Suhail… :flower1:

Re: sub bhool gya

thx GS