Dil soog main hay aaj k sub bhool gayee
Main sub ka watan hoon mujhay sub bhool gayee
Har sooch ka hissa hoon har khawb main hoon shamil
Sub aml say hain paira mujhay sub bhool gayee
Jis chaoon main pal kar hotay ho tawana
Khanjar bhe chalay us par, mujhay sub bhool gayee
Har simt hay lalach hay dhoka hay fareeb
Khudgarz itnay bhe kya k mujhay bhool gayee
Kya shaan thee, Kya aan the, K dunyaa thee diwanee
Aaj sharm say sub chup hain k sub bhool gayee
Zakhm itnay to mujhay na dushman nay dyee thay
Kuch dair ka hoon mehman K sub bhool gayee
Sindhi tha Balochi, na Punjabi tha na Pakhtoon
bus aik thee manzil, ek millat ka hasool
Jo mil k chali thee, wo rah , sub bhool gayee
Main sub ka watan tha, sub bhool gayee