Hawa nay rut ka tamasha Dhikha diya aakhir
Chiraag-o sheesha-o Dil Bhuja diya aakhir
Jo chand aks thay un ko tu pee gay Durya
Sawar-e shub ko diya bhee, tu kya diya aakhir
Guzr gay meray Mosum, Bikhur gay meray Khwaab
Nazr k samnay sehra Bicha diya aakhir
Bus aik khwaab sa bhaija tha meray Naam Us nay
Hawa-e Zurd nay wo bhee Gu’nwa diya aakhir
Wo kuch na tha mgr aik khamoshi ka kissa tha
Kahin kahin say ussay bhee suna diya aakhir
Safr naseeb thay aisay kay phir Palut kay na Aay
Su Mae nay bhee Inhein *Khawer Bhula diya aakhir…