Story of USA

http://www.gupistan.com/gallery/4/usa.gif

So true

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

can you translate it plz… i can’t read Urdu properly yet

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/frown.gif


“One who slays monsters should look to it that he himself does not become a monster. When you gaze long into the abyss, the abyss gazes long back at you”

Oo puther… is ka maza translation may nahi aaye ga..


Zamane kay Andaz Badle Gay
Naya Raag hai, Saaz Badle Gaye

Abbu ji plz sanu bi dasso

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/nah.gif

ok no problemo.. <its gonna be in roman urdu, i am trying my best to use

the exact PRONOUNCIATION techniques possible>

heading: amreeka ko agarr lafzon main likha jaaye to kuch aisay hay

ke,…

body: zameen hamwaar naheen,
mausamm ka aitbaar naheen,
logg wafaadaar naheen,
mazhabb say saro-kaar naheen,
khuloos say hamkinaar naheen,
badalnay ko taiyyaar naheen,
waqt madadgaar naheen,
haalaat saazgaar naheen,
khuda kay shukurguzaar naheen,
gharz ye ke amreeka koee shahkaar naheen…

magar uskay baawujood iss mulk main kuch baatain aisee hain jo agarr

pakistan main hon to ye mulkk dunyaa ka behtreen mulkk bann jaaye.

fuzool tehwaar naheen,
rusoomaat kaa meenaar naheen,
sarakk parr ghubaar naheen,
bhikaari ka deedaarr naheen,
nalkon parr qataar naheen,
koee bandaa bekaar naheen,
pabandi-e-waqtt dushwaar naheen,
taleem ka dohraa miyaar naheen,
eejaadaat ka shumaar naheen,
koee qanoon say aazaad naheen.

Phir bhee kuch baatain aisee hain jo dill ko tarpaati hain maslann:

ghizaa mazedaar naheen,
khaanay main achaar naheen,
ghee ke baghaar naheen,
chooryoon key jhankaar naheen,
behainn ka pyaar naheen,
abba key phatkaar naheen,
daataa darbaar naheen,
qaayid ka mazaar naheen,
aurr sabb say BARH KAR BORYATT, URDU ka akhbaar naheen…
<

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

, jungg ki aadatt ho jaati hay na pakistan main rahh karr

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

faqatt : ek green card holder.


If you can’t turn the worst insult on you into humor then not only you are thick headed, you are also empty-headed..* --“A Guppie”*