soz-e-'ishq...with AUDIO

Re: soz-e-'ishq…with AUDIO

wa’laikum tasleemaat…hahahah…ba_Khudaa ham ne vo gumaan nahiiN kiyaa jo aapne tavassur kiyaa! :cb: u r most welcome.

aapne Sindh meN kabhii ghar meN kisii Khaatoon ko apne saade DupaTTe par lakRii ke chhaape kii madad se naqsheen banaate huye dekhaa hai? mere gaaoN meN maiN ne dekhaa thaa k aurteN chhaapaa kaarii kartii thiiN…ghar ghar chhaapaa Khaana banaa huaa thaa…yeh kaam ziyaada tar rangrez bibiyaayeN kiyaa kartii thiiN.