It is very easy soup to make
Sooji ka halwa banana tu ata hoga aapko ? :aq:
Agar Mandarja bala sawaal ka jawab isbaat main hai tu mujhey yaqeen hai apko chicken cream soup bananey main kuch muskil nahi hogi :insha:
Waisay bhi mujhey aapki cooking ki salaheyatoon pe mukamal bharoosa hai ![]()
Tu soup bananaye ke leye chicken stock tu aapney bana hi lya hai , ab usko cholhey pe charha dain. Merey andaze ke mutabiq aapne yakhni banatey waqt ek lehsan, ek payaz our chang sabat kali mirchain bhi daali hongi , zaiqey ke leye :k: agar nahi daali theen tu ab daal kar boil karlain …
1/2 cup Maida le kar usey butter main bhoon lain ( maida kam ziada hosakta hai depending on soup quantity. ab ismain ek cup doodh dal kar paste bana lain our ubalti hoi yakhni main daaltey howey chamach hilaati jain, agar koi helper hai saath main tu usey chamach hilaney pe laga dain.
ab check karain ke soup thick ho gaya hai ke nahi , agar nahi tu phir upar wala step repeat karain, thora sa maida ka paste our bana lain ya phir alternate courn flour add karlain.
serve kartey howey thori si fresh cream soup ke ooper dal kar serve karain.
Mazey ka soup tayar hai ![]()