:::Soudaa Gar :::

Soudaa Garr – Ahmad Faraz (Pass Andaaz Mosam)

Ghuroor-e-jaan ko meray yaar bech detay hain
qubaa kee hirss main dastaar bech detay hain

yeh loug kiyaa hain kay dou chaar khuahishoun kay liyeh
tamaaam umer kaaa pindaaar bech detay hain

Junoon-e-zeenat-O-Aaraaish-e-makaan kay liyeh
kaie makeen dar-O-deewaar bech detay hain

zaraa bhii narkh ho baalaa tau taajiraan-e-haram
kaleem-O-jubba-O-dastaar bech detay hain

buss itna farq hay Yousuf main aur mujh main Faraz
kay uss ko gher, mujhay yaar bech detay hain

yeh loug kiyaa hain kay dou chaar khuahishoun kay liyeh*
tamaaam umer kaaa pindaaar bech detay hain*

Like It , Thanks for sharing :~)

buss itna farq hay Yousuf main aur mujh main Faraz
kay uss ko gher, mujhay yaar bech detay hain

bhut khoob :k:

yeh loug kiyaa hain kay dou chaar khuahishoun kay liyeh
tamaaam umer kaaa pindaaar bech detay hain

wah… bohat khoob… :k:

Gul , nikii and hanie thanks:)

lovely:k:

i have the book and i like this poem alot:)

Beautiful :k: :k:

this is my fav ghazalll..specially last sher..keep it up

zabar10 :k:

Buhat Khoob :k:

Re: :::Soudaa Gar :::

[QUOTE]
*Originally posted by Gadha: *

Soudaa Garr -- Ahmad Faraz (Pass Andaaz Mosam)

** ]yeh loug kiyaa hain kay dou chaar khuahishoun kay liyeh**
tamaaam umer kaaa pindaaar bech detay hain

buss itna farq hay Yousuf main aur mujh main Faraz
kay uss ko gher, mujhay yaar bech detay hain
[/QUOTE]

buhat aala Ghada bhai ....... thanks for sharing & welcome to poetry :)