Souchta hoon

souchta hoon ki mohabat se kinara kar loon
dil ko begaana-e-tarhgeeb-o-tamanna kar loon

souchta hoon ki mohabat hai janoon-e-ruswaa
chund bekaar se behuda khayaalon ka hajoom
aik azaad ko paaband banane ki hawas
aik begaane ko apnaane ki saii -e-mauhoom

Souchta hoon ki mohabat hai suroor-e-masti
iss ki tanveer mein roshan hai fazaa-e-hasti

souchta hoon ki mohabat hai bashar ki fitrat
iss ka mit jaana, mitaa denaa bohat mushkil hai
souchta hoon ki mohabat se hai taabinda hayaat
aap ye shamma bujhaa denaa bohat mushkil hai

Souchta hoon ki mohabat pe karhi shartein hain
aik tamaddun mein masarrat pe barhi shartein hain

By : Sahir Ludhianvi

Re: Souchta hoon

wow han muhabbat say kinara kerlo jildi kerlo

Re: Souchta hoon

well it,s good both achi hey ghazal hey nice stuff

Re: Souchta hoon

Dushman ko bhi seene se lagaana nahi bhule
ham apne buzurgon ka zamaana nahi bhule

tum aankhon ki barsaat bachaaye huay rakhna
kuch log abhi aag lagaana nahi bhule

aik umr huee main tu hansee bhool chuka hoon
tum ab bhi mere dil ko dukhaana nahi bhule

By: sagar Azmi

Re: Souchta hoon

Ye inaayatein ghazab ki ye bala ki mehr baani
meri khairiat bhi poochi kisi aur ki zabaani

mera gham rula chuka hai tujhe bikhri zulf wale
ye ghata bata rahi hai ki baras chuka hai paani

tera husn so raha tha meri cherh ne jagaya
wo nigaah maine daali ki sanvar gaee jawaani

meri be-zabaan aankhon se gire hain chund khatre
wo samajh sake tu aansoo na samajh sake tu paani

By : Nazeer Banarsi

Re: Souchta hoon

Kaise chupauun raaz-e-gham deeda-e-tar ko kia karoon
dil ki tapish ko kia karoon soz-e-jigar ko kia karoon

Shorish-e-aashqi kahaan aur meri saadagi kahan
husn ko tere kia kahoon apni nazar ko kia karoon

Gham ka na dil mein ho guzar vasl ki shab ho yun basar
sab ye qabool hai magar khauf-e-sahar ko kia karoon

haal mera tha jub batar tab na huee tumhein khabar
baad mere huaa asar ab mein asar ko kia karoon

By: Hasrat Mohani

Re: Souchta hoon

Niyyat-e-shauq bhar na jaaye kaheen
tuu bhi dil se utar na jaaye kaheen

aaj dekha hai tujhe der ke baad
aaj ka din guzar na jaaye kaheen

na mila kar udaas logon se
husn tera bikhar na jaaye kaheen

aarzu hai ke tuu yahaan aaye
aur phir umr bhar na jaaye kaheen

jee jalata hoon aur ye souchta hoon
raaygaa'n ye hunar na jaaye kaheen

aao kuch der ro he lein Nasir
phir ye darya utar na jaaye kaheen

By: Nasir kazmi

Re: Souchta hoon

Tumhe udaas si pata hoon mein kaee din se
na jaane konse sadme utha rahi ho tum
wo shoqhiyan wo tabassum wo qah-qahe na rahe
her aik cheez ko hasrat se dekhti ho tum
chupa chupa ke khamoshi mein apni bechaini
khud apne raaz ki tasheer ban gaee ho tum

Mujhe tumhare taghaful se kyun shikayat ho
meri fanaa mere ehsaas ka taqazaa hai
main jaanta hoon ke dunya ka khauf hai tum ko
yahaan hayaat ke parde mein maut chalti hai
shikast saaz ki awaaz mein ruuh naghma hai

Mujhe tumhari judaee ka koee ranj naheen
mere khayaal ki duniya mein mere paas ho tum
ye tumne theek kaha hai tumhein mila na karoon
magar mujhe bataa do ki kyun udaas ho tum
khafa na ho meri jurrat-e-khitaab per
tumhein khabar hae meri zindagi ki aas ho tum

Mera to kuch bhi nahi hai mein ro ke jee loonga
magar khuda ke liye tum aseer-e-gham na raho
huwa hi kya jo zamaane ne tum ko cheen liya
yahan per kaun huwa hai kisi ka soucho to
tujhe qasam hai meri dukh bhari jawani ki
main khush hoon meri mohabat ke phool thukra do

main apni ruuh ki her aik khushi mita loonga
magar tumhari masarrat mitaa nahi sakta
main khud ko maut ke haathon mein sou'np sakta hoon
magar ye baar-e-masaaib utha nahi sakta
tumhaare gham ke siwa aur bhi to gham hai mujhe
nijaat jin se main aik lahzaa pa nahi sakta

By: Sahir Ludhainvi

Re: Souchta hoon

Apni merzi se kahan apne safar ke ham hain
rukh hawaon ka jidhar ka hain udhar ke ham hain

pehle her cheez thi apni magar ab lagta hain
apne he ghar mein kisi duusre ghar ke ham hain

waqt ke saath hain mitthi ka safar sadiyon se
kis ko maloom kahan ke hain kidhar ke ham hain

chalte rehte hain ke chalna hain musafir ka naseeb
souchte rehte hain kis raag guzar ke ham hain

By: Nida Fazli

Re: Souchta hoon

Zakhm jo aapki inaayat hai iss nishaani ko naam kya dein hum
pyaar dewaar ban ke reh gaya hai iss kahaani ko naam kya dein hum

Aap ilzaam dhar gaye hum par ek ehsaan kar gaye ham par
aap ki ye bhi meherbaani hai meherbaani ko naam kya dein hum

Aap ko yun he zindagi samjha dhoop ko hum ne chaandni samjha
bhool he bhool jiss ki aadat hai iss jawaani ko naam kya dein hum

Raat sapna bahaar ka dekha din huaa to ghubaar sa dekha
bewafa waqt bezubaan nikla bezubaani ko naam kya dein hum

By: Sudarshan Faakir

Re: Souchta hoon

Ya Rab gham-e-hijraan mein itna to kiya hota
jo haath jigar pe hai wo dast-e-dua hota

ik ishq ka gham aafat aur uss pe ye dil aafat
ya gham na diya hota ya dil na diya hota

ghaeron se kaha tum ne ghaeron se suna tum ne
kuch hum se kaha hota kuch hum se suna hota

umeed to bandh jaati taskeen to ho jaati
waada na wafa karte waada to kiya hota

nakaam-e-tamanna dil iss souch mein rehta hai
yun hota to kya hota yun hota to kya hota

By: Charag Hasan Hasrat

Re: Souchta hoon

Bhuul shayad bohat barhi kar lee
dil ne duniya se dosti kar lee

tum muhabat ko khel kehte ho
ham ne barbaad zindagi kar lee

uss ne dekha barhi inaayat se
ankhon aankhon mein baat bhi kar lee

aashqi mein bohat zaroori hai
bewafaee kabhi kabhi kar lee

ham nahi jaante charagon ne
kyun andheron se dosti kar lee

By Bashir Badar

Re: Souchta hoon

I like the first one by sahir

Re: Souchta hoon

Another beautiful thread by mirabbas. Thanx a lot for this lovely compilation :)

Re: Souchta hoon

Tamheed-e-sitam aur hai takmeel-e-jafa aur
chakne ka mazaa aur hai peene ka mazaa aur

taseer tu taaseer tasawwur hai gurezaan
raaton ko zara maangiye uth uth ke dua aur

donon hi binaa-e-kashish-o-jazb hain lekin
nagmon ki sadaa aur hai naalon ki sadaa aur

takraa ke vaheen tuut gaye sheesha-o-sagar
maekhwaaron ke jhurmut mein jo saqi ne kaha aur

wo khud nazar aate hain jafaon pe pashemaan
kya chahiye aur tum ko "Shakeel" is ke sivaa aur

By: Shakeel Badayuni

Re: Souchta hoon

Very nice colexn....thnx for sharing...!