sooraj pay dastak dena aasaan nahi
apna haath jala lena asaan nahi
chal kar apnay paaon say
khelna garam shuaon say
asaan nahi
pal pal bay-awaz c ek awaz sunaee deti hai
us awaz mein dhundli c ek shakal dikhaee deti hai
lekin usko chuu lena asaan nahi
shoalon say khushbu lena asaan nahi
jhulas rahi hai aas meri sooraj k tez allao par
seedha parna daao ka asaan nahi
bujhna tez allao ka asaan nahi
khinchta jaey kisi ki janib lamha lamha dil mera
joar dia taqdeer nay shaid is say mustaqbil mera
jur kar bandhan kat jana asaan nahi
barh kar peechay hat jana asaan nahi
^^ Yeah. Thats Right. Anybody knows where can i find this song. Plzzzzzzzzzzzzzz
**
Pakistani Movie thi "Suraj Pay Dastak" us movie ka song hay yea n if i m not wrong to tina sani nay gaya hay wid someone
i tried to find but file shied ab del ho chuki hay net say
Sorry its not tina sani
its Tahira SYed and Tojo
**