~~ ** sooch lay ** ~~


haan abhi sooch lay
faysloon ka safar
lafz kin arm chaoon main kat-ta naheen
aur sun
faysloon ki nadamat say taqleef deh koe bhi dukh naheen
jitney khadshay mayray saath chalnay main hain
es dorahay pay ruk
aur ounhain apni aankhoon main tarteeb day
jaan lay
waqt kay dasht-e-bay barg main wapsi kay leeyay koe raasta naheen
jo hawa mayray jumlay kay aaghaaz main
tayray baaloon ko chootay hoay chal rahee thi
ousi waqt say mar chouki hay……
haan yehi waqt hay
raabtay aur ta’aluq kay maienee samajh
jitney khadshay mayray saath chalnay main hain
es dorahay pay ruk
aur ounhain apni aankhoon main tarteeb day
keh abhi tayray haatoon ka har raabta
tayray haatoon main hay