Soo baras ki zindagi main aik pal........

**Soo baras ki zindagi main aik pal
Tu agar kar le koy ache amal
Tuj ko duniya main mile ga us ka phaal
Aaj jo kuch boye ga kaate ga kal

gham ko sene se lagana sekh le
gair ko apna banana sekh le
Dard sah kar muskarana seekh le
Choar khudgarzi wafa ki rah chal
Aaj jo kuch boye ga kaate ga kal

Aik aadam ki sabhi olaad hain
Kuch to khush hain aur kuch naashaad hain
jurm un ka kiya hay jo barbaad hain
Tu zamane k asuloon ko badal

Dusaron k waaste zinda raho
Jaan bhi jaye to hans kar jaan do
Mout k aage bhi sharminda na ho
Tu sada insaniyat ki rah chal
Aaj jo kuch boye ga kate ga kal…!**

Re: Soo baras ki zindagi main aik pal…

aaaaaaaaaaawwwwwwwwww nice kalaam…did he mean:

sau baras kii zindagii se achchhe haiN
achchhe haiN, pyaar ke do chaar din?

Re: Soo baras ki zindagi main aik pal........

**gham ko sene se lagana sekh le
gair ko apna banana sekh le
Dard sah kar muskarana seekh le
Choar khudgarzi wafa ki rah chal
Aaj jo kuch boye ga kaate ga kal

itni sari cheez kahan sikhai jati hain.... Institute ka naam pata do.. aap ka naam len to discount mile ga kia?
**

Re: Soo baras ki zindagi main aik pal........

Shayad us sy bhi kuch barh kr kaha hy shair ny............

Re: Soo baras ki zindagi main aik pal…

Mera naam bhi na lyna, Maarayn gay Pakar k band kr dyn gay…:cb:
Kuch baqayajaat k maaamlaat hyn…:smiley:

nisheee ..