soni hai aankhon ki galiyaan dil ki basti veeran hai

soni hai aankhon ki galiyaan dil ki basti veeran hai
ek khaamoshii ek andhera chaaron jaanib raqsaan hai

kitni door chala aaya hoon chorr kay teri basti
lekin dil teri galiyon main aaj talak sargardaan hai

phir sooraj kay saath teray milnay ka imkaan doob gaya
phir baam-o-darr ki taareeqi deed-o-dil par khanda hai

phir in piyaar bhari nadiyon ki yaad main aankhain punam hain
phir iss bichray daiskay ghum main shehar-e-dil jaan veeran hai

Jaalib~ aap iss jaan-e-ghazal kay piyaar sey laakh inkaar karain
aankhon ki pur soz chamak sey dil ka dard numayaan hai

Very nice...

Sanwala sa wo larka larkoon jasa naam...

:confused:

Sorry was just joking....
Gustakhi ke mafi milay gee.....

Nice :)

Re: soni hai aankhon ki galiyaan dil ki basti veeran hai

bhut achay:k:

:k::k: