rifaqatoN k naey sisilay talaash karooN
‘udaas dil k liay mashghalay talaash karooN’
jahaaN barastay rehay mujh peh ab talak patthar
usee shehar k liay aaeenay talaash karooN
dua’ayN mangna chahooN haseeN sehar kee magar
qabooliyat k liay waastey talaash kerooN
agarcheh paaoN meray zakhm zakhm hain ab bhee
naee faza’ayN , naey raastay talaash karooN
yeh mayra dil bohot anmol sa khazaana hay
to phir maiN kiyoon isay yooNhi supurd-e-yaas karooN
Afia