na janay kon hay jis ki talash may nasir
har ak sans mayra ab safir may rahta hay
2)umer bar juda nahi hotay
dard bee kitnay ba-asool hotay hay
3)mayri apnee aur us ki arzo may farq yah ta
mujay bas woh,aur usay sara zamana chayay ta
tum mayri zindagee ho, yah sach hay
zindagee ka magar barosa kia
sahil sahil aah pohancha may sahra ta halankay
per bee us nay peeyasa raka darya ta halankay
jiwan bar na peeyas buji to akhtar yah ahsas howa
tan ki peeyas samaj bayta ta man peeyasa ta
tum nay to per bee zamanay kay chalan seek layay
may to kuch bee na kar paya muhabat kay siwa