Yeh taaj izmato’n ka yoon hi nahi mila hai
Allah ka karam hai, maa’n baap ki dua hai
Sarko’n pe behne wala yeh khoo’n pukaarta hai
Insaan ko bacha lo, Insaan mar raha hai
Sab lafz dosti ke toote hoe parre hein
kehne ko kya bacha hai, sunne ko kya rakha hai
Barson ki aarzoo’ein, barson ki mehnatein theen
our log keh rahe hein, aik jhonparra jala hai
Oreh raho naqabein, pehne raho makhote
kis ka hai roop kesa, aaeena jaanta hai
Rakhiye qadam zameen par, aakaash mein na uriye
woh uth nahi saka jo, oonchaa’ee se gira hai
----Manzar Bhopali