Do news reporter ki shaadi ho jaati hai to biwi bolti hai, “abb to kardo meri mohabbat ko abad.”
mian bola, “jaayga nahin darling, miltey hain ek chotey se break ke baad.”
ek judge key bachey ko uss ki maa ney chaata maara to woh rotey huey apney abba key paas aaya.
uss ka abba bola, beta jabb supreme court ney faisla sunaa diya to high court key paas aney ka kiya faaida?
ek aadmi apney betey sey bolta ha, jab mein marr jaon to qureshi saahib ko zuroor khabar kardena.
Beta: kyoon abba?
Abba: sunaa hai key unnki aurtein mardun ko lipat lipat key roti hain.