**Sochta huN k bohat saada o ma’soom hai wo
Main abhi usko shanaasaa-e-mohabat na karuN
Rooh ko us ki aseer-e-gham-e-ulfat na karuN
Us ko rusva na karuN, waqf-e-museebat na karuN **
**Sochta huN k bohat saada o ma’soom hai wo
Sochta huN k abhi ranj se aazaad hai wo
Waaqif-e-dard nahi khoogar-e-aalaam nahi
Sahar-e-aaish mein uski asar-e-shaam nahi
Zindagi us k liye zehr bhara jaam nahi
Sochta huN k mohabbat hai jawani ki khizaaN
Us ne dekha nahi dunia mein bahaaroN k siva
Nik-hat o noor se labreiz nazaaroN k siva
Sabza-zaaroN k siva aur sitaaroN k siva **
Sochta huN k bohat saada o ma’soom hai wo
Sochta hooN k gham-e-dil na sunaauN us ko
Saamne us k kabhi raaz ko uriyaaN na karuN
Khalish-e-dil se use dast o garebaaN na karuN
Us k jazbaat ko main sho’la ba daamaaN na karuN
Sochta huN k jalaa de gi mohabbat us ko
Wo mohabbat ki bhala taab kahaN laaye gi
Khud to wo aatish-e-jazbaat mein jal jaaye gi
Aur dunia ko is anjaam pe taRpaaye gi
Sochta huN k bohat saada o ma’soom hai wo
*Sochta huN k bohat saada o ma'soom hai wo
Sochta huN k abhi ranj se aazaad hai wo
Waaqif-e-dard nahi khoogar-e-aalaam nahi
Sahar-e-aaish mein uski asar-e-shaam nahi
Zindagi us k liye zehr bhara jaam nahi
Sochta huN k mohabbat hai jawani ki khizaaN
Us ne dekha nahi dunia mein bahaaroN k siva
Nik-hat o noor se labreiz nazaaroN k siva
Sabza-zaaroN k siva aur sitaaroN k siva *