sochta hon k buhat sad-o-masoom hai woh
main abhi uss ko shanasa-e-mohabbat na karon
rooh ko iss ki aseer-e-ghum-e-ulfat na karon
uss ko ruswa na karon
waqf-e-museebat na karon
sochta hon k abhi ranj say azad hai woh
waqif-e-dard nahi
kho gar-e-alaam nahi
sehr-e-aish main usski asr-e-shaam nahi
zindagi uss k lye
zeher bhara jaam nahi
sochta hon k mohabbat hai
jawani ki khizaan
uss nay dekha nahi dunya main
baharon k siwa
nikhat-o-noor say labreiz
baharon ki tarah
sabz zaron k siwa
aur sitaron k siwa
sochta hon k ghum-e-dil na sunaon ussko
samnay uss k kabhi
raaz ko uryaan na karon
khalish-e-dil say ussay
dast-o-girebaan na karon
uss kay jazbaat ko main
shola badaman na karon
sochta hon jala degi mohabbat ussko
wo mohabbat ki bhala taab kaha layegi
khud to wo atish-e-jazbaat main jal jayegi
aur dunya ko iss ajnaam say tarpaye gi
SOCHTA HON BUHAT SADA-O-MASOOM HAI WOH
MAIN USS KO ABHI WAQIF-E-ULFAT NA KARON