sochaa tha bahal jayega dil dard me ghul jayega
kho jaayega duniya me, nadaan sambhal jayega
Sang-e-surkh dil kaa wazood humey lagta hai
aatish ye sahega kab tak, ek roz pighal jayega
ek ehsaas unka humko satata hai sar e shaam
unke geeton kaa kabhi, andaaz badal jayega?
rabba kitney hii karam mujhpe teri rahamat ke
unpe bhi kar de nazar, ehsaan utar jayega
ye ittefaaq sahi vo miley hain humey gairon ki tarah
khwaabon se hi Jaan koi rishta to nikal jayega