Soch

kiyoon mera dil shaad nahi hay
kiyoon khamosh raha karta hoon
choRo meri raam kahani
mai jaisa bhi hoon accha hoon

mera dil ghamgeen hay to kiya
ghamgeen yeh dunya hay saari
yeh dukh tera hay na mera
ham sab ki jaageer hay piyari

tu gar meri bhi ho jaey
dunya kay gham yunhi rahain gay
paap kay phanday zulm kay bandhan
apnay kahay say cut na sakain gay

gham har haalat mai muhlik hay
apna ho yah aur kisi ka
rona dhona, ji ko jalana
yun bhi hamaara, yun bhi hamara

kiyoon na jahan ka gham apna lain
baad mai sab tadbeerain sochain
baad mai sukh kay sapnay daikhain
sapnon ki taa’beerain sochain

bay-fikray dhan-dolat walay
yeh aakhir kiyoon khush rehtay hain?
unn ka sukh aapas mai baantain
yeh bhi aakhir ham jaisay hain

ham nay maana jang kaRi hay
sar phootain gay, khoon bahay ga
khoon mai gham bhi beh jaaeyn gay
ham na rahain, gham bhi na rahay ga

Faiz

ham nay maana jang kaRi hay
sar phootain gay, khoon bahay ga
khoon mai gham bhi beh jaaeyn gay
ham na rahain, gham bhi na rahay ga

zabar dast