1
door se
lambay balon wali
laal kurta safed salwar
pehnay larki dekhi
teri yaad aayi
Re: SMS Shaeri
![]()
yeh aap kee shaairi hai?
laal kurta, safed shalwaar aur kaalaY baaloN maiN tau woh laRki Peoples Party Pakistan kaa jhanda lug rahi ho gee agar thoRaa saa green duppaTaa bhee oRhaa daiN ussaY ![]()
Iss forum kaY saath mazaaq naa kiya kijiye kopra saahab!
Re: SMS Shaeri
Anwaar Qureshi Saahab ji,
Hum nay bahut seriousness se SMS shaaeri ki pehli verse likhi thee. Koee mazaak-waak ki baat nahin ki thee. Lakin aap ko ye mazzaq kyon lagga?
SMS neyi kism ki shaaer hai. ghazal va nzam nahin hai. Japanese Haiku, Renga, Senryu jaisi hai. kya aap ko un k baaray main kuch patta hai?
aap nay PPP aur green dupattay ki baat ki hai. kya yeh mazaak nahin hai? agar aap kahen to is ko bhi kisi stanza main daal saktay hain. Jaisay:
tera laal kurta
safed shalwar
haraa dupatta
haath main PPP ka jhunda
tu kya aurat hai
sherni hai
azaad ruu ki hai
mard to bhaithay-bhaithay
hukka peetay rehtay hain
aur tu azaad huee
aasmaan main
urti phirti ho
meray dil ki koyal ho
bulbul ho
(kabhi faaKHtah bhi ho).
faaKHtah/qumri–>dove?
Note: Amal Sahaab Ji, agar aap ko yeh thread achcha nahin lag raha , to mehrbaani kar k is ko delete kar dain. main yahaan kisi ka mazaak nahin karna chahta, lakin neyi kism ki urdu ki poetry zaroor likhna chahta hoon. Shukriya.
Re: SMS Shaeri
2
*laakhon baar chaha
tu na maani
mur ke dekha
tum chchupay-chchupay
mujhay dekh rahi thee*
Re: SMS Shaeri
2
*laakhon baar chaha tu na maani
mur ke dekha
tum chchupay-chchupay mujhay dekh rahi thee*
sachi???
Re: SMS Shaeri
sachi???
haan ji
bilkul sachi hai
ye baat shaeri ki
Re: SMS Shaeri
Anwaar Qureshi Sahaab,
kahaan aap muqaabalay
karnay baithay hain humaray
Parveen Shakir ke saath?
Parveen ko Parveen hi rehnay do
kuch hamari bhi nazmain parho
shuroo main badi ajeeb lagain gi
lakin dheeray dheeray
duniya kay jazbaaton ki
awaazain aayen gi.
Thanks for stopping by. Main koee mazaak nahin karta!
Re: SMS Shaeri
3
*jis kisi say milti ho,
kehti phirti ho -
main tujhay chahti hoon.
kaisi larki ho?*
Re: SMS Shaeri
3 jis kisi say milti ho, kehti phirti ho - main tujhay chahti hoon.
kaisi larki ho?
yeh aap kaisee kaisee laRkiouN saY raabtaY rakhtaY haiN?
Re: SMS Shaeri
4
*apni jheeb dikhati ho.
badi pyaari lagti ho.
jab saheliion se
meri baatain karti ho,
to kyon muskrati ho?*
Re: SMS Shaeri
yeh aap kaisee kaisee laRkiouN saY raabtaY rakhtaY haiN?
*aap doosray logon ki
mazaak ki shikayatain kartay hain.
lakin mazaak karnay main
khud baaz nahin aatay hain!*
Re: SMS Shaeri
iss ko kehtaY haiN meraY hamdam meraY dost
kaY jaisee rooh, waisaY farishtaY
goyaa kaY yooN kahiye
jaisaa des, waisa bhes ![]()
Re: SMS Shaeri
*wo mazaak karnay main itnay laggay hain,
widesi kapdon ka kuch nahin jaantay hain.
apni hi hansi hansi main
apna mazaak kara partay hain!*
Re: SMS Shaeri
wo mazaak karnay main itnay laggay hain, widesi kapdon ka kuch nahin jaantay hain.
apni hi hansi hansi main
apna mazaak kara partay hain!
mujhaY afsos hai bhai maiN mazeed aap kaa saath daY kar iss forum kaa standard naheeN giraa saktaa :)
Re: SMS Shaeri
mujhaY afsos hai bhai maiN mazeed aap kaa saath daY kar iss forum kaa standard naheeN giraa saktaa :)
*jab mohabbat ki ghazlain
aur nazmain hi aati hon,
duniya k kalaam to
kuch bhi na aatay hon,
to kyon idhar udhar
dakhal dainay
baith jaana?
jab apnay ghar main
aag laggi ho,
to kyon bhaag kar bahar
shaher ki aag bujaana?
jab apna ghar kooain main ho,
to kyon sagar ki baatain
karnay baith jaana?
jab jazbaat sirf
kehnay hi aatay hon,
ton kyon unko
dikhlanay ki kosish karna?
jazbaat dil to dekh hi laita hai!
shaeri ka standard tab kam ho jaata hai!
baday logon k bada afsos ho jaata hai!*
Re: SMS Shaeri
*jab mohabbat ki ghazlain aur nazmain hi aati hon, duniya k kalaam to kuch bhi na aatay hon, to kyon idhar udhar dakhal dainay baith jaana?
jab apnay ghar main aag laggi ho, to kyon bhaag kar bahar shaher ki aag bujaana?
jab apna ghar kooain main ho, to kyon sagar ki baatain karnay baith jaana?
jab jazbaat sirf kehnay hi aatay hon, ton kyon unko dikhlanay ki kosish karna?
jazbaat dil to dekh hi laita hai! shaeri ka standard tab kam ho jaata hai! baday logon k bada afsos ho jaata hai!*
lolz