Siyaah Hijr Gaya Zard Intzar Gaey

Siyaah hijr gaya, zard intezaar gaey
kisi ka dard gaya, dard k hisaar gaey

udaas raat, khizaan humsafar,safar gumnaam
tere khayaal k mausam humain to maar gaey

naa jaa’n bharakti hai apni naa raakh hoti hai
humein ye kaisi museebat main tum utaar gaey

ajeeb dushman-e-jaa’n tha k bin laray jeeta
ajeeb jung thi hum jis main haar haar gaey

bohot hi thori c mohlat mili muhabbat ki
hum apna aap magar jaatey jaatey waar gaey

kisi k bhaijay huay aa gaey thay dunya main
kisi say maangi hui zindagi guzaar gaey

na chaand atqa kisi jaa na badliyaan atkeen
hum uski raat k aangan main baar baar gaey!!

Re: Siyaah Hijr Gaya Zard Intzar Gaey

Again, beautiful stuff :k: thanx for sharing :slight_smile:

Re: Siyaah Hijr Gaya Zard Intzar Gaey

udaas raat, khizaan humsafar,safar gumnaam
tere khayaal k mausam humain to maar gaey

bohot hi thori c mohlat mili muhabbat ki
hum apna aap magar jaatey jaatey waar gaey

***bahot khuub aabla_pa ji :k: ***

Re: Siyaah Hijr Gaya Zard Intzar Gaey

zabar10 :k:

Re: Siyaah Hijr Gaya Zard Intzar Gaey

ThankU :slight_smile:

^^ Shudnt iT b " zabar10**T "
:smiley:
**

Re: Siyaah Hijr Gaya Zard Intzar Gaey

siMpLy GrEat sHaRiNg AsaD :)
khush rahiye Amin !

Re: Siyaah Hijr Gaya Zard Intzar Gaey

^^ Mehrbaani janaab :)

Re: Siyaah Hijr Gaya Zard Intzar Gaey

beautiful