gum sum hawa, aawaz ka darya tha jo ek shakhs
pathar bhee nahi ab wo, sitara tha jo ek shakhs
shayad wo koi harf-e-wafa dhoond raha tha
chehroon ko baRay ghor say paRhta tha jo ek shakhs
sehra ki tarha der say pyasa tha wo shayad
badal ki tarha TooT kay barsa tha jo ek shakhs
aye tez hawa, koi khabar us kay junooN ki!
tanha safar-e-shoq pay nikla tha jo ek shakhs?
ab aakhri satroon main kaheen naam hay uska
ehbaab ki fehrist main pehla tha jo ek shakhs!
hathoon main chupaye huway phirta hay kaee zaKhm
sheeshay kay khilonoon say behelta tha jo ek shakhs
muR muR kay usay dekhna chahain meree aankhain
kuch door mujhay ChhoRnay aya tha jo ek shakhs
ab usnay bhee apnaa liye dunya kay qareenay
saye ki rafaqat say bhee darta tha jo ek shakhs
hr zehen main kuch naqsh-e-wafa ChhoR gaya hay
kehnay ko bharay shehr main tanha tha jo ek shakhs
munkir hay wohi ab meri pehChan ka mohsin
aksar mujhay Khat Khon say likhta tha jo ek shakhs
Mohsin Naqvi