Wo sitaara fishaan jabeen teri, wo teray shabaab ki jhalkyaan
key chalak rahi thi gulaabyan, Wo beyrang shola badan tera
Key junoob bhi bhed pa na saka, Wo sharabyon jesa chalan tera
Magar tera dil to para-e-sang tha, Jo geet khushi key ga na saka
Meray haal-e-zaar pey jo hansa, Wo sakoon kabhi paa na saka
Mein Quwwat-e-shiddate-e-dard sey, Dey raha hon tujhey yeh bud-dua
Teray aastaana-e-khyaal par ko dil-e-girafta aa na sakey,
Tu karey mot ki aarzu magar mot ko bhi tu pa na sakey,
Teri shaam-e-gham ki sahar na ho, Tu jaley kisi ko khabar na ho
Chaley simt-e-gheib sey ek hawa, Jo tera chaman ujaar dey
Yeh rang-o-roop bigaar dey,
Na yeh saj rahay teri na yeh dhaj rahay,
Na yeh teray jisam ki lachak rahay,
Phir tu hansi kisi ki ura na sakey,
Tujhey bhi iss ghareeb sey dil lagi ka sila milay,