enter10
1
**Sitara Apni Bhi Tabandagi Na Dekh Saka
Wo Dhoond Thi K Ye Manzar Koii Na Dekh Saka
Talash Kartay Howay Ungliyaan Jala Daalain
Wo Tirgi Thi Keh Main Shama Bhi Na Dekh Saka
Mila Tha Shaam Mujhay Ak Bujha Howa Sooraj
Main Us Kay Baad Phir Roshni Na Dekh Saka
Jo Rabt Baaki Tha Sab Qata Kar Liya Us Nay
Wo Meharbaa Meri Be Chaargi Na Dekh Saka
Nigah Wesay Tu Baam -e- Falak Ko Choo Aaii
Mager Jis Zameen Pay Khara Tha Wahi Na Dekh Saka
Wahi Hay Aaina Khaana Wahi Hain Tasveerain
Main Umar Bhar Koii Soorat Naii Na Dekh Saka
Tamaam Shaher Main Wo Deedawar Howa Mashoor
Wo Apni Naak Say Aagay Kabhi Na Dekh Saka**
Re: Sitara Apni Bhi Tabandagi Na Dekh Saka
us ki naak us k aagy thi 
LP
3
Re: Sitara Apni Bhi Tabandagi Na Dekh Saka
[QUOTE]
Nigah Wesay Tu Baam -e- Falak Ko Choo Aaii
Mager Jis Zameen Pay Khara Tha Wahi Na Dekh Saka
[/QUOTE]
baghal mai bacha..sheher mai dhindora :p
LP
4
Re: Sitara Apni Bhi Tabandagi Na Dekh Saka
aapki naak peechey hai kya ? 
Re: Sitara Apni Bhi Tabandagi Na Dekh Saka
Eye specialist ko consult kiya aap na?
Re: Sitara Apni Bhi Tabandagi Na Dekh Saka
nahi matlab us k agy pari hui thi⦠
enter10
7
Re: Sitara Apni Bhi Tabandagi Na Dekh Saka
Eye specialist ko consult kiya aap na?
**
Nigah Wesay Tu Baam -e- Falak Ko Choo Aaii
Mager Jis Zameen Pay Khara Tha Wahi Na Dekh Saka**
Shair ko zameen py kuch dikhae nhi dyta to......
Bechara Eye Specialist k pass kaisy ponhach`ta.......?