**sitam hii karna jafaa he karna nigaah-e-ulfat kabhi na karna
tumhai qasam hai hamare sar ki hamare haq mein kami na karna
kahan ka aanaa kahan kaa jaanaa vo jaante he nahi ye rasmain
vahaan hai vaade ki bhi ye surat kabhi to karna kabhi na karna
hamari mayyat pe tum jo aanaa to chaar aansuu bahaa ke jaanaa
zaraa rahe paas-e-aabaruu bhii kahiin hamaari hansii na karna
vo ik hamara tariiq-e-ulfat ki dushmanon se bhi mil ke chalna
ye ek shevaa teraa sitamagar k dost se dostii na karna **
**being lonely
**