sabah
1
Sitam gari ka har andaaz mehramana laga
meiN kya karooN mera dushman mujhe bura na laga
Har ike ko za’m tha kis kis ko na-khuda kehte
Bhala hya ke safeena kinare ja na laga
Mere sukhan ka qareena dubo gaya mujh ko
Ke jis ko haal sunaya usse fasana laga
Bairon-e-dar na koi roshni na saya tha
Sabhi fasad mujhe andoon-e-khana laga
MeiN thak gaya tha bohut pe-ba-pe uRanooN se
Jabhi to daam bhi is bar aashiyanaaN laga
Sitam ke ah’d meiN main bhi shareek hooN jaise
Mera sakoot mujhe sakht mujrmana laga
Woh laakh zod faramosh ho Faraz magar
Usse bhi mujh ko bhulane meiN ik zamana laga
[Ahmed Faraz]
Samad
3
waise to bohat si post kartay hain log shairi idhar
par hammain aap ka ya andaz-e-copy paste acha laga
no seriously, good stuff. enjoyed readin it.
sabah
4
Thanks CP :)
ANS, C 'n P nahiN kya, khud likha tha, notice all the spellos :o
Mere sukhan ka qareena dubo gaya mujh ko
Ke jis ko haal sunaya usse fasana laga
beautiful Sabah :)
reet
6
Har ike ko za’m tha kis kis ko na-khuda kehte
Bhala hya ke safeena kinare ja na laga
Mere sukhan ka qareena dubo gaya mujh ko
Ke jis ko haal sunaya usse fasana laga
very very thnx 4 sharing this poem…