This nazm is for everyone to date that has turned back to dust. And indeed to Him shall all things return.
Sitaaray toot kar jaatay kahan haiN
falak ki shaakh say jhaRtay huway yeh atlassi pattay
zameen ki simt aatay hain to inn ki aakhri saansain
damakti aur chamakti roshni kay
lehriyon ki shakal chalti hain
bazaahir aisa lagta hay
“wahan”
basti kay uss jaanib, kisi jungle ki wus’at main,
kisi parbat kay seenay par
gira ho ga kaheen malba,
ussi khush-rang taaray ka
jo ab say saanya bhar qabal roshan tha
chamakta tha, damakta tha, falak par jagmagata tha
(magar ab uss kay honay ki nishani tak nahi milti)
nazar hairaan hoti hay
keh jo kaunda sa lapka tha
ussay ab kis tarah dhoonday! kahaan dhoonday!
khalaa andar khalaa ikk khamoshi hay aur dehshat hay
sitaaron ki guzargaahon mai bas wehshat hi wehshat hay!
nazar kay waahmay hain ya gumaaN hain
kuch nahi khulta
sitaaray toot kar jaatay kahaan hain!
kuch nahi khulta!!
Amjad Islam Amjad