Woh siskeyaan laiti huwi
Apne aap se kuch kehti huwi
Apne aanso’oun ko rokay huwe
Alfaaz us ke behkay huwe
Phir ek woh fariyaad karti hai
Taaza ek woh yaad karti hai
Aur phir
Har roz kisi bhi lamhay
Woh siskeyaan laiti huwi
Woh khayaloon mein atti huwi
Kehti hai
Ke ab tau kaheen baras beet gaye
Ke maazi ab tum laut aao
Meri taraf ab tum pallat aoo …