***intezaar me unke umr apni tamaam kar chale ***
***khayaal-o-tasawwur me, sehar se shaam kar chale ***
***deedaar-e-Rukh-e-maahwash pe maahaul-e-jashn-e-iid hota ***
***apni holi deewaali bhi unke naam kar chale ***
***sirf yaadon ke sahaare jee nahin paate ham ***
***unke peechhe ek tasveer ka intezaam kar chale ***
***le aaye dhoondh kar unko jahaan-e-kharaab se ***
***yaad rakhegi duniyaa ham jo kaam kar chale ***
***musaafir is safar me ab na raat hogi ***
jab noor-e-jahaan ham khud thaam kar chale
Re: sirf yaado’n key sahary
Mashallah Very nice :k:
Janwar
3
Re: sirf yaado'n key sahary
hmmmmmmmmmmm kash mujh ko bhi mohabat hoti tu mai bhi in ghaamo ke lazat sumhaj pata :(
Re: sirf yaado’n key sahary
kiun bohat shok hey?
Janwar
5
Re: sirf yaado’n key sahary
fazeelat = = = shoq hum ko zindage say lipte khoobsorat chadar say nahi , faqat hum tu ghumo kay rah-guzar kay musafir hai 
Re: sirf yaado’n key sahary
palko’n se gir naa jaein yeh ansoo sambhaal lo
duniya key paas dekhney wali nazar kahan
Re: sirf yaado’n key sahary
Na Na ALLAH Na karay yaar k tujhay ghum lagay phir to tu jaanwar say insaan ban jaeyga
..aur phir yeh shair gunguna’ey ga…
Ay daikhnay waloo’n maujhay hans hans kay na daykho
Tum ko bhi MUHABBAT kahee’n mujh sa na bana day …
Re: sirf yaado’n key sahary
tum se yeh umeed to naah thee, kisi ka dil nahi tortey