Re: ~ SIRF TUM ~
Aise wakat mai phasa hoo ke Pakistan yaad aa raha hai Agle maah jaa paoo ga ya nahi, yehi khayal dara raha hai call karo to har koi yehi kehta hai ke kab tu Lahore aa raha hai Ab to vacation hi chahiye, baar baar Pakistan ka khayal aa raha hai
tumhay tu waisay hi kuch samajh nahi aataa hai
dimagh mein har waqqt bhoot jo sawaar rehta hai
itnay nikammay ho, har waqt chutti ka hi kyaal rehta hai
aur Pakistan ka naam na lo, hamay bi bohat yaad aata hai
hum bhi udaas hain, hamay bhi Pakistan jaana hai
hum tu Lahore jaaein gay, bus ticket hi laina rehta hai
magar tum nahi jaa saktay, tumharaa semester tu abhi rehta hai
ticket hamay bhaij du, tumhay kia farq parRta hai