**senay m dil
dil m dard
dard m nasha
nashay m mithas
mithas m tashnagi
tashnagi m arzo
arzo m hasrat
hasrat m umeed
umeed m kiyal
kiyal m tasawar
tasawar m tasweer
tasweer m tu hai
tujh m ada hai
ada m wafa
wafa m shoki
shoki m shrarat
shrarat m ghusay
ghusay m m banawat
banawat m apnaiat
apnait m chahat
chahat m khaloos
klaloos m piyar
piyar m ibadat
ibadat m khuda
khuda m dua
and dua main
Koi aas hai na paas hai Mere nazdeek para 7-up ka glass Mujhe phir bhi lagi nahi pyaas hai Yeh kya bakwaas hai
Aaj ka din hi kharab hai Mil bhi nahi rahi Juraab hai Bass dil mai vacation ki muraad hai Aankho mai Lahore aur Islamabad hai
Kaise bataoo ke kitna bore hoo Aaj kuch kar bhi nahi raha, aaj kaam-chor hoo Dil kar raha hai ke Pakistan wala wakat waapis mor doo Dil karta hai ke Semester ko lamba banaane wale ka Sar phor doo
Semester ka na poocho, din hi itna busy jaata hai Jab thak ke waapis aaoo, to kuch samajh mai nahi aata hai Kabhi kabaar class na jane ka khayal khush karwaata hai Aur agar aik din class na jaoo to teacher Grade ka keh ke draata hai
Aise wakat mai phasa hoo ke Pakistan yaad aa raha hai Agle maah jaa paoo ga ya nahi, yehi khayal dara raha hai call karo to har koi yehi kehta hai ke kab tu Lahore aa raha hai Ab to vacation hi chahiye, baar baar Pakistan ka khayal aa raha hai
Happy moments-praise ALLAH, difficult moments-seek ALLAH......quiet
moments-worship ALLAH.......... painful moments-trust ALLAH..MOMENT BY
MOMENT THANK ALLAH
Bakwaas nahi, yea aap ka damagh hai
Jo kahin per bus ruk sa gayaa hai
7-Up ka glass mujhey bhijwaa do
Lagi mujhey barRi piyaas hai
jaraab say tu saara ghar hi badboo-daar hai
bus aap ka din isi liye tu kharaab hai
khawab daikhnay chor dein, wo pooraani baatein yaad karein
Lahore tu aap say barRa hi naraaz hai
Kaam-chor tu tum pehlay say hi ho
baat hamay koi nai bataao, yea konsi nai baat hai
Aur hamay ziyaada paraishaan mut karo
Pak K liye dil tu hamaara bhi barRa udaas hai