Ishtehar bra aiy Rishta
Ek No umer mehar zada, Naik chalun aur seeda saada,lamba kum na past ziyada,Husan ka dildada,shadi per aamada,Khoobsurat jawan aala khandan,arsa say preshan k liyay,ek haseena misl e hoor,chashm e makhmoor,chehra purnoor,ba tameez, ba sha oor, ba hunar saliqa mund,Sowm o Slat ki pabund,ba adb ba haya, sabqa skoont zilla kho gaya, na shaiq surkhi cream ki,urdu main aala taleem ki, mah jabee behad haseen,parda nashee, baqaid e hud, lambi ziyada na pasta qad,aahista khram,shaista klam,pyara sa naam,ajuba kainaat,rafeeqa hayat darkaar hai,warna zindagi baykaar hai.
Masehri ya char pai, rui bari razai, chund zaiwar talai,kacha kursiya n aur maiz,bus iss qader jahaiz, Larka go anari hai lakin aitbari hai,jaib main kalum aur muhn main zubaan rakhta hai.
Mazeed baat cheet bilmushafa ya bazriya lafafa, khato kitabat pabundi seega raaz hai,dosto yeh aarzu dil ki aawaz hai.
[RIGHT]Makan number 420,
Gali number 9 2 11,
hairan chowk preshan manzal
Miyan Jee:)
[/RIGHT]
Re: Sirf larkiyo n k liyay auntiyui n aur khalaun say mazrat hai
Salaam miyaan jee
Re: Sirf larkiyo n k liyay auntiyui n aur khalaun say mazrat hai
Huh ? ![]()
Re: Sirf larkiyo n k liyay auntiyui n aur khalaun say mazrat hai
sirf aik he salam aa sakta tha iss ishtihaar k liye aur haan jald GS Shaadi online forum khulnay wala hai tab tak aap zara araam kijiye !
Gizzy bro Zinda Baad :)
Re: Sirf larkiyo n k liyay auntiyui n aur khalaun say mazrat hai
GS is turning into a match makers office:eek:
Re: Sirf larkiyo n k liyay auntiyui n aur khalaun say mazrat hai
ahoo k 337 tum bolo are you ready :D
Re: Sirf larkiyo n k liyay auntiyui n aur khalaun say mazrat hai
RAHUL wants to get marry to a girl:o
Re: Sirf larkiyo n k liyay auntiyui n aur khalaun say mazrat hai
hehehehehe Rahul gaya chala hay to koi nai jeee u can find a guy ;)
Re: Sirf larkiyo n k liyay auntiyui n aur khalaun say mazrat hai
UN kay samnay mat kehna nahi to woh tumharay e’s kam kar de gi
Re: Sirf larkiyo n k liyay auntiyui n aur khalaun say mazrat hai
hahahahaha ahoo yaar plz karvaa do mujay bhi itnay ziada e achay nahi lagtay ![]()
Re: Sirf larkiyo n k liyay auntiyui n aur khalaun say mazrat hai
yeh nick banatay waqt sochna tha
Re: Sirf larkiyo n k liyay auntiyui n aur khalaun say mazrat hai
main to apnay fav. nicks rakh raha tha magar kuch ban hee nahi raha tha so gussay mein eeeeeeeeh likha to ban gaya ![]()
Re: Sirf larkiyo n k liyay auntiyui n aur khalaun say mazrat hai
bye guys got to go