zindagi k liye itna nahin manga krte,
mangne wale se kaasa nhi manga krte..
malik e khuld se duniyan nhi manga krte,
yar dariyaon se qatra nhi manga krte…
hum wo rahi hain liye phirte hain sar per suraj,
hum kabhi pedon se saya nhi manga krte…
hum ko aata hai nayi raah banane ka hunar,
hum pahadon se bhi rasta nhi manga krte…
pyaas ko jinki samandar ka bhi pani kam ho,
aise pyase kabhi dariya nhi manga krte..
Maine Allah se bas khaak e madeena maangi
log apne liye kya kya nahi maanga karte
Betiyon ke bhi liye haath uthaao “Manzar”
sirf Allah se beta nahi maanga karte
