Apney sard kamray main
Main udas bethi houn
Neem-wa dareechonn sey
Nam hawaien aati hain
Mere jisim ko choo kar
Aag se lagatee hain
Tera naam ley ley kay
Mujh ko gud-gudate hain
Kaash merey par hote
Terey paas urh aate
Kaash main hawa hoti
Tujh ko choo key lout aate
Main nahein magar kuch bhee
Sang-dil rewajoon key
Ah-hani hisaaron main
Umr qaid ki mulzim
Sirf aik larki houn!